Dard bhari sayari

Dil main hur raaaz dabaa key rakhtay hein
Honton pay Muskaan sajaa key rakhtay hein..
ye duneeya sirff Khushee mein saath daytee
hai..
iss liye hum apnay aansoo chupaaa kay
rakhtey hein…

Asuon ke chalne ki awaz nehi hoti
Dil ke tootne ki ahaat nehin hoti
Agar hota khuda ko har dard ka ehsas
to use dard dene ki adat nehin hoti……

Raaste Mein Pattharo Ki Kami Nahi Hai
Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai
Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki Magar
Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai..

Tere bina tutkar bikhar jayenge,
Tum mil gaye to gulshan ki tarah khil
jayenge,
Tum na mile to jite ji mar jayenge,
Tumhe paa liya to markar bhi jee jayenge…

Tumse dur jane ka irada na tha ,
sada sath rehne ka bhi vaada na tha,
Tum yaad na kroge ye jante the hum,
Par itni jaldi bhul jaoge aandaja na tha…

Behte aashkon ki zubaan nahi hoti
Lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.
Mile jo pyar to kadar karna
Kismat har kisi par maherban nahi hoti…

Itna udas shaam ka manzar kabhi na tha,
sooraj ke sath doob gaya mera dil bhi aaj…
Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne
wale..

Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
Mout ke baad yaad aa raha hai koi,
mitti mery kabr ki utha raha hai koi,
a khuda do pal ki zindgi or de de,
mery kabr se udas ja raha hai koi…

Dil gumsum, Zubaan Khamosh,
Aankhein aaj num kyon hai?
Jo kabhi apna hua hi nahin
Use aaj khone ka gum kyon hai
Dard-e-dil mein gam ki kaliya khilti hai,

Ab toh tanhai bhi aksar humse milti hai,
Aapne band kiya jabse yaad karna,
Humari parchhayi bhi humse ruth kar chalti hai.
Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi nahi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Khuda ne hume aisa banaya hi nai…

Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte,
Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte,
Yeh kaisa pyaar hai mera,
Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.
Naa jaane kyu hame aansu bahana nahi aata,
Naa jane kyu haal-e dil batana nahi aata,
Kyu mere masuka bichad gayi humse,
Shayad hame hi saath nibana nahi aata!

Mere Zindagi ek band kitab hai
Jise aaj tak kisi ne khola nhi
Jisne khola us ne parha nhi
Jisne parha wo samjha nhi
Aur jo samaj saka wo mila nhi

Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada
hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi
sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se
zyada hai.

Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun ker udaas ho baithey
Zehan chup chaap ankh khaali
Jaisey hum kianaat kho baithey

Beetay pal wapas la nahi sakte
Sukhe phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai ke aap hamein bhula nai sakte.,

Ek janaza or ek baarat takra gaye..
unko dekhne wale b chakra gaye..
uper se awaz aai, ye kaisi vidai hai..
mehboob ki doli dekhne yar ki mayyat aai hai…

Mujhe sab kuch kabool hai ae Falak!
Gham-e-Yaar mujhse talb na ker
mein usey kese dil se juda keron
jo meri umer bher ki taalash hai

Post a Comment

Previous Post Next Post